Adsense में बैंक अकाउंट कैसे जोड़ते है?
,

इस लेख का शीर्षक है Adsense me Bank Account kaise add kare. Is website ke through kitne hi topics ki baat ki jaa rahi hai jaise blogger, WordPress, ad network, WhatsApp and Adsense. Adsense ke kai topics ke baare me baat ki gai hai but aaj baat karenge ek important topic par jo ek stage hai aapko payment receive karne ke liye .

Is topic me ye baat karenge ki kaise adsense India me payment karta hai wo bhi online ya ye kahu ki EFT jiska full form hai Electronic Fund Transfer.[toc]

Adsense ka Wire Transfer Kya hai?

Wire transfer ke through aap kahi se bhi payment receive kar sakte hai. Jaise Google Adsense par aapke $100 hone par aapko apke bank account me money transfer ki jati hai.

However, Google Adsense pehle Cheque se bhi money sent karta tha but aaj saare bank online hai islie online money transfer karna bhi easy hai.

Aapko bas apna bank account adsense me add karna hai. Uske baad jaise hi $100 complete hote hi aapko payment receive hogi

Adsense kya hai?

Yah ek world popular ad network hai jo sirf publisher’s ke liye hota hai. Agar simple language me kahu to sabhi website owner jinhe publisher kehte hai, ko apne website submit karna hota hai. Agar publisher ki website AdSense account approve hoti hai to publisher apni website par ad show karke online income kar sakta hai.

Adsense ka kai topic jinke baare me baat ki ja chuki hai ki links neeche di hui hai.

Adsense account approved kaise kare

Adsense kya hai kaise kaam karta hai

Adsense account approved na hone ke kya reason hai

Apna bank account adsense me kaise add kare ki steps.

Step 1. Adsense me aapko apna bank account add karne ke liye aapke paas Adsense account hona jaroori hai. Agar aapke paas account hai to use login kare.

Step 2. Login karne ke baad Gear Icon par click kare jise setting wala icon bhi kaha jata hai ya neeche ki image dekhe. Uske baad payments par click kare.

adsense me apna bank account kaise add kare ki first step
Add bank account to adsense

Step 3. Payments par click karte hi new page par move onge jaha aapka Add a payment method dikhega. Jis par aapko click karna hai (check below image).

Jaise number likhe waise hi aapko click bhi karna hai kyunki aap adsense me apna bank account kaise add kare ki steps read kar rahe hai.

Step 4. Ab aap main page par aayenge jaha aapko payment detail fill karni hogi. Neeche ki image check kare.

Google adsense payment kaise add kare

Ab aap upar ki image dekhe aur samjhe ki kaise is form ko fill kiya gaya hai.

Account holder name

Yaha par aapko apna name fill karna hai. But ek baat ka dhyan rakhe ki aap apna wahi name fill kare jo bank account me hai. nahi to payment milne me dikkat ho sakti hai.

Bank name

Aap apna jobhi bank account add karna chahte hai uska name enter kare for ex. “Punjab National Bank”.

IFSC Code kya hai kaise search kare

Aapke bank account jis branch me hai uska ek particular IFSC code hota hai Jo aapki bank pass book par bhi likha hoga. But meri pass book par nahi likha tha isliye mene customer care par call karke pata kar liye and net par bhi search karliye. Agar aap bhi net par search karna chahte hai to ifsccodebank.com par jaye and neeche image ke according apna IFSC code search kare.

IFSC bank code

Upar ki image dekhe aur samjhe. Sabse pehle aap apne bank ko choose kare. Jaise hi choose kare to thoda ruke kyunki website refresh ho jayegi. Phir state, district, city and finally branch enter kare jaha aapka bank account hai and search par click kare.

Itni detail fill karne ke baad aapka IFSC code dikhega jo neeche hi diya hoga (upar ki image check kare).

Swift-BIC code kya hai kaise search kare

Yah ek jaroori code hai jo international money transaction ke liye hota hai. Sabhi bank’s is code ko mandatory rakhte hai. Iske bina aap international payment recive nahi kar sakte isliye yah behad jaroori code hai joki Swift-BIC cod hota hai.

Jaise ki aap jante hi hai ki Google adsense USA ki ek company hai jo India me nahi hai but India ke publisher bhi apni website ke saath participate karke online paise kama sakte hai. To ye USA ki company hai and USA se hi money transfer karti hai isliye international hui. To aapko SWIFT BIC code ki need hai.

Kaise milega SWIFT-BIC code

Ye code aapki bank pass book par nahi likha hoga. Ise bhi aap apne bank ke customer care par call karke pata kar sakte hai. ya net par search kar skate hai.

Par me aapko suggestion dunga ki aap customer care par hi call kar. Kyunki SWIFT-BIC code sabhi branch me nahi hota hai. For ex. mere account Madhya Pradesh ki Vidisha district me hai jaha Punjab National Bank me internation payment recive karne ke liye koi SWIFT-BIC code nahi hai. To mene cusomter care par call kiya to unhone poocha ki jo aapki City ke paas koi badi city hai to uska name batao to mene Bhopal bola phir mujhe mera code mila jo Bhopal ki New market branch ka code tha.

Mene net par bhi try kiya but nahi mila and Bhopal ke New market branch ka code mil gaya.

Agar aap net par search karna chahte hai to www.bank-code.com par jaye and apne city ka name enter kare agar nahi aata hai to aapki city ke paas jo badi city hai uska name enter kare. Jaise mene search kiya Vidisha to nahi mila but Bhopal search kiya to mil gaya. Neeche ki image dekhe.

SWIFT-BIC code kaise search kare

Upar ki image me dekh sakte hai ki Punjab National bank ka SWIFT-BIC code mil gaya joki New Market Branch ka hai.

Account Number & Re-type account number

Reader’s, aapko yaha apna bank account fill karna hai and re-type me bhi. Copy paste na kare kyunki agar aapne account number me galti se galat account number enter kiya to wohi copy ho jayega and Re-Type me bhi wohi paste ho jayega jisse aap samajh nahi payenge or galti bhi kar sakte hai Google Adsense me apna bank account add karne me.

Isliye dono baar type hi kare.

Set this payment method as primary.

Aap chahe to tick kar sakte hai apni wish ke according. Mera suggestion to yes hai.

Step 5. Sari detail bharne ke baad re-check kare aur kahi koi bhi galti ho to use sahi kare. Phir finally save kare.

Save karne ke baad Google Adsense aapko ek mail sent karega jo sirf ek notification hoga. Jiski ek copy neeche di hui hai.

Mail revived hote hi use padhlo, samjhlo aur chaho to delete bhi kar sakte ho. Upar ki image ke according mene 5 March ko Adsense me apna bank account add kiya tha.

Jaise ki Google adsense me aapke $100 complete hone ke baad Google adsense aapko payment sent karega jo dollar me hogi phir use rupee me convert kiya jayega, phir wo India me transfer hogi uske baad apke registered mobile number par call bhi aa sakta hai ki aapke paas online income kaha se or kaise aa rahi hai to aap unhe Google adsense ke baare me inform kar sakte hai.

In sab process me 15 din se jyada chala jata hai to payment milte – milte 15 – 20 din lag jate hai. And dollar to rupee me convert karna ka charge bhi publisher ko dena hota hai. $100 me se aapko 63% percent hi milta hai joki Google adsense ke rule hai.

Google Adsense payment method setting

Payment method add karne ke baad aisi image aane lagti hai joki apne bank account ki detail bhi ho sakte hai and aap chahe to aur bhi bank account add kar skate hai Google adsense me.

अधिक एवं लैटस्ट जानकारी के लिए हमारे WhatsApp चैनल को जॉइन करें। क्लिक करें –

2 responses to “Google Adsense me Bank Account kaise add kare”

  1. List of IFSC codes Avatar

    Woah! I’m really loving the template/theme of this site.

    It’s simple, yet effective. A lot of times it’s tough to get that “perfect balance” between usability and
    visual appearance. I must say you have done a excellent job with this.
    Also, the blog loads extremely quick for me on Internet explorer.
    Outstanding Blog!

  2. Amarjit singh Avatar
    Amarjit singh

    Sir mere adsense account m ( your paymentd has currently on hold action is required to release payment) dikha raha or mujhe pta bhi nhi chal pa raha ki meri earning kitni ho rahi h YouTube se

HindiTreasure.com

Discover more from HindiTreasure.com

Subscribe now to keep reading and get access to the full archive.

Continue reading