इन आसान तरीकों से होगा Google AdSense Account Approved – कुछ ही आसान स्टेप्स को फॉलो करना होगा।

Mene dekha hai ki new publisher’s mostly sabra nahi rakhte hai and Google Adsnese ke liye apply kar dete hai aur unka adsense approved nahi hota jisse bohot saare blogger’s ye soch kar blogging karna band kar dete hai ki un se nahi ho payega. But aisa nahi hai. Is article ka title yahi hai ki Adsense account approved kaise kare. Reason’s aapko bataye ja rahe hai is article par.

Kisi tarah ki pareshaani hone par comments ke dwara pooch bhi sakte hai. Ye bohot hi sabra ka kaam hai. Kyunki Adsense policy bohot hi strict hoti hai. Agar aap adsense policy follow nahi kar pate to aapka account approved nahi hoga.

Adsense account approved nahi hone ke kya reasons hai?

  1. Content copy karna – Agar aap internet par paise kamane ke liye jaldi kar rahe hai and sochte hai ki content copy karne se kuch nahi hota to aap bohot galat soch rahe hai. Kyunki Google is very smart not you. Aapne content kaha se copy kiya kab kiya, kis website se kiya, sabkuch pata chal jata hai. To content copy na kare.
  2. Zero Traffic – Agar aap content nahi bhi copy kar rahe hai par aise article’s likh rahe hai jinhe koi nahi read karta ya aapki site par koi nahi aat to bhi aapko Google Adsense account ka approval nahi milega.
  3. Short content – Agar aap apni site par article’s likhte hai but wo 300 word se bhi kam hai to unhe badha le kyunki short content bhi accepted nahi hai.
  4. Website interface or navigation – Agar aap apni site par sahi ja rahe hai par aapki site ka design kharab hai and navigation bhi accha nahi hai to bhi aapki site approve nahi hogi.
  5. Illegal Traffic – Agar aap apni website par galat tarike se visitors ko bhejte hai jaise social network se bhejna to bhi aapki site ka approved nahi kiya jayega. Bhale hi page views kitne jyada ho.
  6. Doosri site se content copy karke phir use edit karke apni site par post karna.

Adsense account Approved ke liye kya dhyan rakhe

  1. Copyright content – Agar aap kisi ke baare me likhe rahe hai to bilkul sahi kikhe bhale hi apni language me ikhe but sahi likhe. Copyright ke jjo rules hote hai unhe dhyan me rakh kar likhe.
  2. Hate speech – Iska matlab hota hai galat tarike se likhna ya bhadkau language me likhna. Aap koi bhasah me likh sakte hai par galat nahi likh sakte. Aap kisi ke khilaaf galat article bhi nahi likh sakte bhale hi wo aapka enemy hi kyu na ho.
  3. Abuse – Aap agar apni site par abusive language ka use karte hai jo sahi nahi to bhi aapka account ko approval nahi milega.
  4. Adult – Aap kisi bhi tarah ka bold ya adult content publish nahi kar sakte. Yaha tak ki agar koi aur dusri company ke ads jo adult hai, bhi nahi laga sakte.
  5. Drugs / Guns (weapons) / alcohol / smoke – kisi bhi tarah ka content agar aapne likha hai to unhe permanent hata de and aaply kare.
  6. Images – Agar aap apni site par content kam and images jyada post karte hai to aisa na kare. Image bhi post kar sakte hai but article ke saath.
  7. 6 months ka wait – Ye baat sahi hai ki bohot saari website 2-3 months me bhi approve ho jati hai but wo bohot hi professional hoti hai ya unke publisher’s ke paas pehle se hi Google adsense enabled account hota hai. But policy ke according aap 6 month tak apni website ko run kare ans unpar article likhte rahe.
  8. Pages – Apply karne se pehle apni website par in page ko bana le and correct information bhi fill kare. About Us, Contact Us, Privacy Policy, Terms of Service’s.
  9. Language – Apki website ki language bhi wahi hona chaiye jo policy ke according ho. Jinhe aap yaha bhi dekh sakte hai.

Adsense account approved kaise kare ke tarike.

YouTube – Agar aapke paas YouTube channel hai to aap apne video bana kar jinnse duro ki help ho ko upload kar sakte hai. Agar un par views hote hai to aap monetize par jakar ads enable kar sakte hai. Isse Adsense ads bhi enable ho jayenge. and aapka Google Adsense account approved ho jayega. And baad me aap apni website ko bhi apply kar sakte hai but apki site ko tab bhi Google adsense ki policy ko follow karna hi hoga.

SEO service – Agar aapko article likhna aata hai to aap SEO service le sakte hai jisse aapki website par page view aane lagenge. But me aapko bilkul bhi nahi kahunga ki aap apni website ke liye SEO service le. Because aisa koi jarrori nahi hai ki SEO service lene se aapki website par instant page view ya visitors aane lagnege.

Hard Work – Agar aap sochte hai ki aap sirf website se account ko approve nahi kara payenge to galat sochte hai kyunki sirf aapki website se hi aapka Google Adsense account approved ho skata hai. Bus jarrorat hai hard work karne ki. And yehi aapko aage tak le jayega.

Adsense 2 step Process.

Adsense account ka approval kaise le– Agar aapka adsense account approved hua hai to wo pehle temporary approved hoga and first step me rahega jisme aap apna adsense account dekh sakte hai and login kar sakte hai, ads ko apni site par install bhi kar skate hai lekin ads view nahi honge. Iske liye aapko 2nd step ke liye wait karna hoga. Jisme adsense team aapki website ka review karegi. Ye review 2 din se lekar 2 week tak ka ho sakta hai, ya usse jyada bhi ho sakta hai.

Friend’s, Ye itna bhi difficult nahi hai. But agar aap sahi se policy ko follow kare to aapka bhi account approve hoga. To ye thi information about Google adsense account approved kaise kare. Bye!

अधिक एवं लैटस्ट जानकारी के लिए हमारे WhatsApp चैनल को जॉइन करें। क्लिक करें -

2 thoughts on “इन आसान तरीकों से होगा Google AdSense Account Approved – कुछ ही आसान स्टेप्स को फॉलो करना होगा।”

Leave a Comment