Broadband Internet ki speed kaise check ya test kare

Kya aap internet use karte hai and aapko aapke plan ke baare me pata hai ya nhi pata hai to online apni speed test kar sakte hai. Speed check karna behad his aasan hai. And aapke computer par ya laptop par hi check ki ja sakti hai na ki mobile or tablet par.

Internet ke speed check karne ke liye aako me neeche 2 website ke bare me bataunga jo ki world famous hai and daily use ki jane wali site hai. Speed Test karne ke liye aapko Begin Test par click karna hoga. Is website ke dwara aap apne broadband ke name and speed jan sakte hai. Yah Uploading speed check kar sakte hai. Speed pata karna behad easy hai but 3/5 minute lagte hai ise test karne me.

Speed Test karne se pehle kiya kare?

Broadband ki bandwidth pata karne se pehle aap dusri saari website ko close karde ya unhe refresh ya un par work na kare. Ya browser close karke phir se open kare and phir test kare. Speed Test karte time sabse pehle Ping Test hota hai uske baad Download speed jo ki internet ki speed hoti hai and last me uploading speed test hota hai.

Internet Speed Test kaise kare ki steps

Step 1. Agar aapko apni Internet or net ki speed check karna hai to aap is link par aaiye. URL – www.speedtest.net

Step 2. Agar aapki net speed slow hai to thoda rukna hoga Kyunki ye website khulne me time leti hai.

Step 3. Website khulne ke baad bhi thoda ruke and wait kare kyunki website ke beech me aapko begin test ka option aayega jaisa ki neeche image me diya hua hai.speed test net broadband

Step 4. Jaisa ki upar image me diya hua hai Begin Test par click kare. Phir ek ek karke 3 test honge Ping, Downloading and Uploading Speed.

Step 5. Begin Test par click karrte hi ek speedometer jaisa ki car / bike me hota hai, work karega and one-by-one teeno test honge jsime aap apni Downloading and Uploading Test jaan sakte hai.

BSNL se apni Broadband or Internet ki speed check kaise kare

BSNL se apni internet ki speed check karna behad easy hai kyunki ye fast open hoti hai and isme aap apni normal plan ki speed check kar sakte hai, Yaha tak ki aap FTTH Plan ki speed check kar sakte hai and agar aapki bandwidth low hai to wo bhi check kar sakte hai. Ye speedtest.net se Jyada good hai and fast hai.

Step 1. Aap is website par jaye URL – speedtester.bsnl.co.in

Step 2. Agar aap normal Internet Connection use karte hai to aap first link par click kare jo ki “Click here to start speed test”.

Step 3. Agar aap FTTH connection or plan use karte hai to second link open kare.

Step 4. Agar aap low bandwidth or low speed internet use karte hai to third link par click kare.

Step 5. Ek new window open hogi and usme likha hoga “Conducting bandwidth tests…It may take few seconds to exchange payload” Teeno me se kisi bhi link par click kare aapki net ki speed check hogi lekin thoda time to isme bhi lagega. Yah aapki speed measure karke aapko batayega and aapka IP address bhi.speed test by bsnl in India

Dear readers, Agar aapne notice kiya ho ya na kiya ho par me bata deta hu ki isme Uploading speed ki information nahi di uska reason hai ki Koi bhi ISP or internet service provide jaise ki BSNL, Airtel, MTNL, Reliance or broadband connection dene wali koi bhi company Sirf downloading speed provide karti hai naki uploading. And waise bhi uploading speed always depend hoti hai Server par. Server kisi ka bhi ho sakta hai chahe wo Facebook, YouTube, Google, etc ya aapki personal site ka server ho.

Your Link Here –

WiFi ka password kaise pata kare

Agar aapko speed kum milti hai to instant apne service provide ko call kare and uski information le ya online troubleshoot le.

अधिक एवं लैटस्ट जानकारी के लिए हमारे WhatsApp चैनल को जॉइन करें। क्लिक करें -

2 thoughts on “Broadband Internet ki speed kaise check ya test kare”

    • Jis bhi company se aapne broadband connection liya hai us company ke customer care par call kare disconnect ke request kar sakte hai. Kuch hi din me disconnect ho jayega….

      Reply

Leave a Comment