WiFi का Password कैसे देखें? How to view the WiFi passwords?

How to see Wifi password on your android phone? OR WiFi ka password kaise dekhte hai android phone me.

Aaj ki date me smart phone ki need sabko hai but internet sabke paas nhi hota. Agar jin logo ke paas internet hota bhi hai to kabhi aisa bhi ho sakta hai ki net pack khatam ho jaye. Aisi condition me aap instant recharge karwa lenge ya Wi-Fi se internet use karenge.

But WiFi ki bhi need kabhi – kabhi hoti hai becuase kuch log downloading karte hai jaise movie, songs etc to use data jyada use hota hai.

Kul milakar aap free WiFi use karna chahte hai. Ye mujhe pata hai. Aage dekhte hai ki aap aisa kaise kar sakte hai. But neeche diye note ko jaroor padhe. Is note ka meaning hai ki is article me koi bhi WiFi hack karne ka tarika nhi batya gaya hai. Because hacking Google Adsense ki policy ke khilafh hai.

Note: In this article, I am not going to disclose any hacking process or method to crack WiFi passwords. This article is based on the WiFi map and follows its terms and conditions.

Is article me aapko ye batya ja raha hai ki –

Open WiFi ka password kaise dekhte hai? OR How to see an open WiFi password?

Open WiFi ka password dekhne ke liye aapko Wi-Fi Map ki app install karna hogi. Jiski process aapko step by step with image neeche de hai.

WiFi map location-based app hai jisme aapko apne phone ki location ko enable karna hogi and internet connection hona chaiye. Location on hote hi aapke paas ke jitne bhi open WiFi ke password show honge.

Aaiye kuch simple steps follow karte hai.

Wifi password kaise dekhte hain

Step 1. Apne android phone me Play store me jaye and search box me WiFi Map type kare install kare.

Step 2. According to above image, First app ko install kare and uski terms and conditions ko accept kare.

How to see wifi password

Step 3. App install hone ke baad open kare.

WiFi map app open kaise kare

Step 4. Agar aapki location apne enable nhi ki to aapko karni hogi. Neeche ki image ke according to aap Enable Location par click kare and apni location lo enable kare.

WiFi map location enable kaise kare

Step 5. GPS bhi on karna na bhule. Agar apke phone me GPS on nhi hai to on kare.

GPS activation for WiFi Map App

Step 6. Turn on your Wifi agar pehle se hi aapne apna Wi-Fi enable nhi kiya hai to.

WiFi enable for WiFi map

Step 7. Ab aap neeche ki image ke according jitne bhi open Wi-Fi honge aapko wo sab dikhenge. Aap kisi bhi WiFi par click kar ke uska password jaan sakte hai.

WiFi password with password

Just upar ki image jo first image hai usme sabhi Wi-Fi name jo show ho rahe hai wo apki location based sorted hai. Jiska meaning hai ki jo WiFi aapke device ke sabse paas hai wo sabse pehle show hoga. Jaisa ki upar image me Big Cinemas show ho raha hai.

Aap bhi in simple steps ko follow karke easily kisi bhi open WiFi password dekh sakte hai.

Is app ke base par is article me koi hacking process nhi batai hai. Aap sirf unhi WiFi password dekh sakte hai jo open hai.

अधिक एवं लैटस्ट जानकारी के लिए हमारे WhatsApp चैनल को जॉइन करें। क्लिक करें -